Saaki
_____________________
Tumhe nazar aa jaate hai
Woh unkahe jasbaad
Un hasi ke peeche
Chupi har choti baat
_____________________
Din ke kai lamho ki
Halchal tumhe batana
Us nukkad ke maikade pe
Jume dar jume pahuch jana
_____________________
Kabhi andshand harkote se
Hasi ke anginat bauchar
To kabhi din ke dukhde
Par sisakta yalgaar
_____________________
Aise saaki se door rehna
Qayamat karti hai yaara
Jald milne ki dua karna
Chamakte din aa jaye dobara
_____________________
* accidentallyso.wordpress.com property*